Daaru chakhna waala pyaar,
sutta chai waala pyaar.
Yeh bhi jeevansathi hain,
lekin Shaadi.com pe nahi mile the.
Caffeine addiction waala pyaar,
rebel tattoo waala pyaar.
Wedding reels mein
haldi doodh aur makeup ke peeche
goom jaata hai yeh pyaar.
Kisi biodata mein nahi milta
aisa waala pyaar.
Wahi, late-night long drive
aur thodi si overeating waala pyaar.
Ghar mein doston ke saath
talli hoke naachne waala pyaar,
Phaaltu ki baatoon pe
pet dard tak hassne waala pyaar.
Kyonki zaruri nahi
ki joh aib mein nahi ulajhta
sirf wahi karta hai pyaar.
Usse karte dekha hai
control waala pyaar,
jealousy waala pyaar,
insecurity waala pyaar.
Jo sutta na phookta ho
lekin har saans mein nafrat kare
kya kaam aayega
aisa zehar waala pyaar?
Lighter kabhi poochta nahi
ki tumko aag kyon chaahiye,
woh chup chaap bas
apni lau tumhe de deta hai…
bas… aisa waala pyaar chaahiye.
